-->
A B C D E F G H I J K L M N O P Q R S T U V W X Y Z

Recently Lyrics Updated


Ramazan Mahina Ayaa

Ral kushiya manao saray

Allah nay karam kiya
Ramazan mahina ayaa
Ramazan mahina ayaa

Aj hoya char chaferay

oday noor day barsataan

Hoya noor ta noori chanan

Ramazan deya kya baatan

Rehmat day lut lo khazanay

Rab noori mei barsaya

Ey noori mahina dekho

hoyan noor deyan barsataan

Farsha day ronak isde

Arshaan ton Rehmatan ayaa

Ral mil kay kushiya manao

Ramazan kiya hain saya

Wah qismat umateh Muhammadi

Thenu milgay raat Qadr di

Kisi aur Nabi de ummat thay

Eysi hoi naee Rehmat Rab di

Dar janat day sab khul gay

Rab esa mei barsaya

Ral kushiya manao saray

Allah nay karam kiya
Ramazan mahina ayaa
Ramazan mahina ayaa



Rahmat ka hei darwaza khhula maang aray maang

Rahmat ka hei darwaza khhula maang aray maang
Deta hei karam un ka sada maang aray maang

Aa ja-ai ga ik roz bhi teba se bulawaa
Har waqt madine ki dua maang aray maang

Bhar ja-ai ga kashkol muradon se tera bhi
Ban kar mere aqa ka gada maang aray maang

Mayoos na ho ye mere lajpaal ka dar hei
Hei kiss liye khamosh khharra maang aray maang

Sarkar se sarkar ko maanguun ga niyaazi
Sarkar ne jiss waqt kaha maang aray maang




Rabb janay tey Hussain janay

Rabb janay tey Hussain janay (x6)
Day kay tun aida wasta mangley duaa
Rabb janay tey Hussain janay (x4)

Itni namaz parh hona bechain ae
Jitni parhave aj tenu Hussain ae
Mustafa sajdah wadha kayndha khuda

Rab janay tey Hussain janay (x4)
Merey nasiba which likhi nay aulaad ae
Kiti Hussain meri jholi abaad ae
Sat putar day kay kaya rahib tun jaa

Rabb janay tey Hussain janay (x4)
Zahra dey wedehey sakhi laj paal aaya ae
Ghowdi which laykay nabi paak farmaya ae
Merey deen da badhsha aj aghaya

Rabb janay tey Hussain janay (x4)
Zahra day chandii koyi jagtey misaal nay
Zainab day veer jiyah koyi laj paal nay
Kerbala qibla mera kabaa mera

Rabb janay tey Hussain janay (x4)
Har aik nabi gal haqdi manwa nae sakhi ya
Pehechaan haqdi sabnu karwa nae sakhi ya
Har nabi jadow thak peyah tey aakheyaa

Rabb janay tey Hussain janay (x4)
Rabb tay Hussain aisay rishtay nae jowrday
Qaiser ae dhowey aik dojay dey nae morday
Dar ae day hur wagun aa sir nu jhuka.



Raate Bhi Madine Kee Baate Bhi Madine Kee

Raate Bhi Madina Kee Baate Bhi Madina Kee
Jeena May Yah Jeena Hai Kiya Baat Hai Jeena Ki

Arsa Hua Taiba Ki Galiyoun Say Ya Guzra Hai
Is Waqt Bhi Galiyoun May Khushbu Hai Paseena Ki

May Madina Ki Galiyoun Pay Qurban
Jinsa Juzra Hai Shah-e-Madina

Is Tarha Say Mekhta Hai Rasta
Eatr Jaisa Lagay Hua Hai

Arsa Hua Taiba Ki Galiyoun Say Ya Guzra Hai
Is Waqt Bhi Galiyoun May Khushbu Hai Paseena Ki

Kiya Mahakta Ta Hai Mahakna Wala
Kay Bu Pay Chalta Hai Bhatkna Wala

Ambar Zami Abeer Hawa Musktar Gubar
Adna Ki Shankt Tera Rah Guzar Ki Hai

Arsa Hua Taiba Ki Galiyoun Say Ya Guzra Hai
Is Waqt Bhi Galiyoun May Khushbu Hai Paseena Ki

Wallah Jo Miljaya Mera Gul Ka Paseena
Manga Na Kabhi Eatr Na Phir Chaya Dulan Phool

Arsa Hua Taiba Ki Galiyoun Say Ya Guzra Hai
Is Waqt Bhi Galiyoun May Khushbu Hai Paseena Ki

Yah Zakam Hai Taiba Ka Yah Sabko Nahi MIlta
Koshish Na Kare Koi Is Zakam Ko Seena Ki

Yah Apni Nigaho Say Mastana Banata Hai
Mastana Banata Hai Deewana Banata Hai
Zahmat Hi Nahi Dayta Mahkar Ko Peena Ki

Har Saal Madina May Mirza Ko Bulata Hai
Sarkar Jagata Hai Takdeer Kamina Ki

Raata Bhi Madina Kee Baata Bhi Madina Kee
Jeena May Yah Jeena Hai Kiya Baat Hai Jeena Ki



Pul Say Utaaro Raah Ghuzar Ko Khabhar Na Ho

Pul Say Utaaro Raah Ghuzar Ko Khabhar Na Ho
Jibreel Par Bichaaey To Par Ko Khabhar Na Ho

Kaantaa Merey Jighar Sat Gham e Rozgaar Ko
Yoon Kheench Leeyjiey Kay Jighar Ko Khabhar Na Ho

Faryaad Ummatey Jo karay Haal e Zaar Mein
Mumkin Nahin Kay Khair e Bashar Ko Khabhar Na Ho

Kehtey They Yeh Buraaq Say Uskey Sabaq Raveey
Yoon Jaiey Kay Ghard e Safar Ko Khabhar Na Ho

Farmaatay Hein Yeh Dono Hein Sardaar e Do jahaa
Ay Murtazaa! Ateeq o Umar Ko Khabhar Na Ho

Aysa Ghumaa Day Un Key Vilaa Mein Khuda Humein
Dhoondhaa Karay Par Apney Khabhar Ko Khabhar Na Ho

Aa Dil! Haram Ko Roknay Waalon Say Chup kay Aaj
Yoon Uth Chalay Kay Pehlo Wabar Ko Khabhar Na Ho

Teer e Haram Hein Yeh Kaheen Rishta Bapaa Na Ho
Yoon Daykhiyeh Kay Taarey Nazar Ko Khabhar Na Ho

Ay Khaar e Taibah! Daykh Kay Daaman Na Bheekh Jaey
Yoon Dil Mein Aa Kay Deedah e Tar Ko Khabhar Na Ho

Ay Shauq e Dil! Yeh Sajdah Ghar Un Ko Ravaa Nahin
Acha! Woh Sajda Key Jiey Sar Ko Khabhar Na Ho

Un kay Sivaa RAZA Koey Haamey Nahin Jahaa
Ghuzra Karay Pisar Pay Pidar Ko Khabhar Na Ho



Pukaro ya RasululLlah 

(salla Llahu ‘alayhi wa sallam)

Tum bhi kar key Unka charcha, apney dil chamkaaow
Uchay mey ucha Nabi ka jhanda
Azmat wala Nabi ka jhanda
Ghar ghar mey lehraaow

Pukaro!
Ya Rasulullah (salla Llahu ‘alayhi wa sallam), Ya Habeeballah (salla Llahu ‘alayhi wa sallam)
Subho Tayba mey huwi bat-tha hai bara noor ka
Sadqah leyney Noor ka aya hai tara Noor ka

Barawi key chaand ka mujra hai sajda noor ka
Bara bur jo sey juka ik ik sitara noor ka

Tum bhi kar key Unka charcha, apney dil chamkaaow
Uchay mey ucha Nabi ka jhanda
Azmat wala Nabi ka jhanda
Ghar ghar mey lehraaow

Pukaro!
Ya Rasulullah (salla Llahu ‘alayhi wa sallam), Ya Habeeballah (salla Llahu ‘alayhi wa sallam)
Baaghey Tayba mey suhana phool phoola Noor ka
Mast bu hai bulbulay parthi hai kalma Noor ka

Taaj waley deykh kar Teya imama Noor ka
Sar jhukatey hai illahi bowl bala Noor ka

Chaand jukh jata jidar ungli utathey mehd mey
Kya hi chalta tha isharon par khilona Noor ka

Tum bhi kar key Unka charcha, apney dil chamkaaow
Uchay mey ucha Nabi ka jhanda
Azmat wala Nabi ka jhanda
Ghar ghar mey lehraaow

Pukaro!
Ya Rasulullah (salla Llahu ‘alayhi wa sallam), Ya Habeeballah (salla Llahu ‘alayhi wa sallam)
Mey gada Tu baadshah bhar dey peyala Noor ka
Noor din dona Teyra dey daal da sadqah Noor ka

Teri nasley paak mey hai bacha bacha Noor ka
Tu hai ainey Noor Teyra sab gharana Noor ka

Tum bhi kar key Unka charcha, apney dil chamkaaow
Uchay mey ucha Nabi ka jhanda
Azmat wala Nabi ka jhanda
Ghar ghar mey lehraaow

Pukaro!
Ya Rasulullah (salla Llahu ‘alayhi wa sallam), Ya Habeeballah (salla Llahu ‘alayhi wa sallam)
Suraj ultey paaon paltey chaand isharey sey ho chaak
Andey najdi deykh ley qudrat Rasulullaha ki

Wasley mowla chahtey ho to wasila dhoondh lo
Bey wasila najdio hargiz Khuda milta nahi

Tum bhi kar key Unka charcha, apney dil chamkaaow
Uchay mey ucha Nabi ka jhanda
Azmat wala Nabi ka jhanda
Barkat wala Nabi ka jhanda
Ni’mat wala Nabi ka jhanda
Rehmat wala Nabi ka jhanda
Rif’at wala Nabi ka jhanda
Sab sey ‘ala Nabi ka jhanda
Pyara pyara Nabi ka jhanda
Ghar ghar mey lehraaow

Pukaro!
Ya Rasulullah, Ya Habeeballah (salla Llahu ‘alayhi wa sallam)
Ya Rasulullah, Ya Habeeballah (salla Llahu ‘alayhi wa sallam)
Ya Rasulullah, Ya Habeeballah (salla Llahu ‘alayhi wa sallam)



Pooch Te Kya Ho Madine Se

Pooch te kya ho Madine se Mai kya laya hoon
Apni aankhaun mein Madine ko basa laya hoon

Dil bhi mera hai waheen Jaan bhi meri hai waheen (to phir lekar kya aae ho)
Apne kaandhaun par apne laashay ko utha laya hoon

Jisne choome hai Qadam Sarwaray ‘Alam ke
Khaak e Taibah ko mai apni palkuan pay saja laya hoon

Saya e Gumbade Khazra me ada karke namaaz
Apne sar ko mai Arsh ka hum paya bana laya hoon

Jaan o dil wahaan rakh ke amanath ki tarha
Phir wahaan janay ke asbaab bana laya hoon



Phir Ke Galli Galli Taybah

Phir ke galli galli taybah thokare sab ki khayen kyoon
Dil ko jo akal de Khuda teri gali se jayen kyoon

Rukhsate qaafila ka shor gashse hame uthae kyoon
Sote hain Unke Sayen mein koyi hamme jagaaye kyoon

Yaade Huzoor (salla Llahu ‘alayhi wa sallam) ki qasam gaflate aish he sitam
Khoob hai qaide ghum mein hum koyee hamme chhurae kyoon

Dekh ke Hazrate Gani phel pare Faqeer bhi
Chaayi he ab to chauni Hashr hi aana jae kyoon

Jaan he Ishq e Mustafa (salla Llahu ‘alayhi wa sallam) roz fizoo kare Khuda
Jis ko ho dard ka mazaa naaze dawa uthae kyoon

Woh jo nathe to kuch natha woh jo naho to kuch naho
Jaan hai woh jahan ki, jaan hai to jahaan hai

Hai to Raza nira Sitam jurm pe gar lajaaye hum
Koyee bajaaye soze gam saze tarab bajaaye kyoon



Pekar E Dilruba Ban Kay Aaya

Pekar e dilruba ban kay aaya, ruh e arzo sama ban kay aaya
Sab rasul e khuda ban kay aa-ay, wo habeeb e khuda ban kay aaya

Hazrat e Amina (radi Allahu ‘anha) ka dulaara, wo Haleema (radi Allahu ‘anha) ki aankhon ka taara
Wo shikasta dilon ka sahaara, bay kason ki dua ban kay aaya

Dast e qudrat nay esa sajaya, husn e takhleeq ko rashk aaya
Jiss ka paya kisi nay na paya, wo khuda ki raza ban kay aaya

Taajdaaron nay di he salami, baadshahon nay ki he ghulaami
Bay misaal uss ka ism e giraami, Mujtaba Mustafa ban kay aaya

Wo Nabi rahmat e aalameen hai, jo bhi unkay zair e nagiin hai
Esa ghamkhuar daykha nahiin he, jesa kherulwara ban kay aaya

He zahoori barri shan unki, madah karta he quraan unki
Naat parrta he hassaan unki, jo mayra rahnuma ban kay aaya



Pegham Saba Laye Hai Gulzar-e-Nabi Se
Pegham saba laye hai gulzar-e-Nabi (Salla Llahu ‘alayhi wa sallam) se
aaya hai bulawa mujhe darbar-e-Nabi se

her aah gaye arsh pe ye aah ki kismat
her ashk pe aik khuld hai her ashk ki qeemat
tohfa ye mila hai sarkar-e-Nabi se
ayaa hai bulawa mujhe darbare-Nabi se

darbare-Nabi se
bhaati nahi humdum mujhe jannat ki jawaani
sunta nahi zahid us mein hooron ki kahani
ulfat hai mujhe sayaa-e-deewar-e-Nabi se
ayaa hai bulawa mujhe darbare-Nabi se

darbare-Nabi se
irfan ki kasak khulq ki mai sabr ka saagar
kiya lutf mila kerta hai jo dete hein sarwar
ye pooch le aake koi beemar-e-Nabi se
aaya hai bulawa mujhe darbar-e-Nabi se

darbar-e-Nabi se
pegham saba laye hai gulzar-e-Nabi se
aaya hai bulawa mujhe darbar-e-Nabi se

darbar-e-Nabi se
pegham saba laye hai gulzar-e-Nabi se
aaya hai bulawa mujhe darbar-e-Nabi se

darbar-e-Nabi se


PAYAAM LE KE JO AAYI SABAA MADINE SE

PAYAAM LE KE JO AAYI SABAA MADINE SE

MARIZE ISHQ KI LAAYI DAWAA MADINE SE

MILLE HAMAARE BHI DIL KO JILAA MADINE SE

KE MAHR-O-MAAH NE PAAYI ZIA MADINE SE

JO AAYA LE KE GAYAA KAUN LOUTA KHAALI HAATH

BATAAYE KOYI SUNAA HO JO “LAA” MADINE SE

WO GAYAA KHULD ME JO AA GAYAA MADINE ME

GAYAA WO KHULD SE JO CHAL DIYAA MADINE SE

MADINA CHASHMA-E-AABE HAYAATH HE YAARO

CHALO HAMESHA KI LE LO BAQAA MADINE SE

CHALE JO TAIBA ME MUSLIM TO KHULD ME POHONCHE

KE SEEDHAA KHULD KA HE RAASTA MADINA SE

TUMHAARE QADMO PE SAR SADQE JAAN FIDA HOJAYE

NA LAAYE PHIR MUJHE MERA KHUDA MADINE SE

TERE HABEEB KA PYAARA CHAMAN KIYA BARBAAD

ILAAHI NIKLE YE NAJDI? BALAA MADINE SE

TERE NASEEB KA NOORI? MILEGA TUJH KO BHI

LE AA’E HISSA YE SHAAH-O-GADAA MADINE SE



Paish e haq muzdah shafaat ka sunaate jaaye ge

Paish e haq muzdah shafaat ka sunaate jaaye ge
Aap rote jaaye ge hum ko hasate jaaye ge

Dil nikal jaane ki jaa hain aah kin ankhon se Wo
Hum se pyaaso ke liye darya bahaate jaaye ge

Haan chalo hasratzado sunte hain wo din aaj hain
Thi khabar jis ki ke Wo jalwa dikhaate jaaye ge

Kuch khabar bhi hain faqeero aaj wo din hain ke wo
Nemat e Khuld Apne sadqe me lutaate jaaye ge

Wusate di hain Khuda ne daaman e Mahboob ko
Jurm khulte jaaye ge aur Wo chupaate jaaye ge

Aankh kholo ghumzado dekho wo giryaan aaye hain
Loh e dil se naqsh e ghum ko ab miaate jaaye ge

Sarwar e Deen lijiye Apne naatwaano ki khaar
Nafs o shaitaan Sayyeda kab tak dabaate jaaye ge

Hashar tak daale ge hum paidaahish e Maula ki dhoom
Misl e faaris najd ke qale giraate jaaye ge

Khaak ho jaaye aduw jal kar maghar hum to Raza
Dum me jab tak dum hain zikr Un ka sunaate jaaye ge



Itna Kaafi Hai Zindagi Ke Liye

Itna kaafi hai zindagi ke liye
Rakh lein Aaqa (salla Llahu ‘alayhi wa sallam)  jo naukri ke liye
Itna kaafi hai zindagi ke liye
Rakh lein Sarkar chaakri ke liye

Takk unko Ayyub ke ghar mein
Mahel tarse hain jhomprri ke liye

Itna kaafi hai zindagi ke liye
Rakh lein Aaqa (salla Llahu ‘alayhi wa sallam) jo naukri ke liye

Aagaye qabr mein bhi churrwaane
Dard kitna hai ummati ke liye

Itna kaafi hai zindagi ke liye
Rakh lein Aaqa (salla Llahu ‘alayhi wa sallam) jo naukri ke liye

Lambe sajde kiye Nabi (salla Llahu ‘alayhi wa sallam) ne kaha
Aye Nawaase teri khushi ke liye

Itna kaafi hai zindagi ke liye
Rakh lein Aaqa (salla Llahu ‘alayhi wa sallam) jo naukri ke liye

Chaand taare bhi Unke qadmon mein
Roz aate hain roshni ke liye

Itna kaafi hai zindagi ke liye
Rakh lein Aaqa (salla Llahu ‘alayhi wa sallam) jo naukri ke liye

Doobe suraj ko phirse palltaya
Apne pyare Maula Ali (radi Allahu ‘anhu) ke liye

Itna kaafi hai zindagi ke liye
Rakh lein Aaqa (salla Llahu ‘alayhi wa sallam) jo naukri ke liye

Khud darakht bhi jarrein ukhare
Aate hain paas Unke haazri ke liye

Itna kaafi hai zindagi ke liye
Rakh lein Aaqa (salla Llahu ‘alayhi wa sallam) jo naukri ke liye

Mehfil-e-amaad sajji rahe ta umar
Iltija yehi hai zindagi ke liye

Itna kaafi hai zindagi ke liye
Rakh lein Aaqa (salla Llahu ‘alayhi wa sallam) jo naukri ke liye

Aye kash aaye woh maqaam bhi
Jiyein bas ham Aaqa (salla Llahu ‘alayhi wa sallam) ki ashiqui ke liye

Itna kaafi hai zindagi ke liye
Rakh lein Aaqa (salla Llahu ‘alayhi wa sallam) jo naukri ke liye

Deed maangi hai Unki aye Haakim
Maine bass waqt-e-aakhri ke liye

Itna kaafi hai zindagi ke liye
Rakh lein Aaqa (salla Llahu ‘alayhi wa sallam) jo naukri ke liye
Itna kaafi hai zindagi ke liye
Rakh lein Sarkar (salla Llahu ‘alayhi wa sallam) chaakri ke liye



Iss Karam Ka Karoon Shukr-e-Kaysay Adaa

Iss karam ka karoon shukr-e-kaysay adaa,
Jo karam mujh pay mayray Nabi (salla Llahu ‘alayhi wa sallam) nay kiyaa,
May sajaata tha sarkaar-e-ki mehfilain,
Mujhko har gham say Rabb nay baree kar diyaa.

Lamha lamha hay mujh par nabi ki ataa,
Dosto aur maangoo may maula say kya,
Kya yay kam hay kay mayray khuda nay mujhay,
Apnay mehboob ka ummati kar diyaa.

Jo bhi aaya hay mehfil main sarkaar ki,
Haazari mil gaee jiss ko darbaar-e-ki,
Koee Siddeeq-e-farooq, usmaan huway,
Aur kissee ko nabi nay ali kar diya

Zikr-e-sarkaar ki hay bhari barkatain,
Mil gaee raahatain, azmatain rif’atain,
May gunahgaar tha, bay amal tha magar,
Mustafa nay mujhay jannati kar diyaa.

Mayray shaahay madina ki kya baat hay,
Un ki dar say millee sab ko khairaat hay,
Sadqay jaaon nay-yaazi main lajpaal kay,
Har gadaa ko sakheenay sakhee kar diya



Ishq Ke Rang Me Rang Jao Mere Yaar

Ishq ke rang me rang jaein jab afkaar to khulte hein ghulaamon pe wo asraar ke rehte hein wo tawseef sanaae shahe abraar me har lehzaa Guhar baar
Warna Wo Sayyide Aale Nasabi han Wohi Ummi Laquabi Hashmi o Muttalabi o ‘Arabi o Farashi o Madani aur kahan hamse gunahgaar

Ishq ke rang me rang jao mere yaar
Aarzoo ye he ke ho qualb muattar wo mutahhar wo munawwar wo mujalla wo musaffa durehaalaa jo nazar aae kahin jalwaae roue shahe abraar
Jin ke qadmon ki chamak chaand sitaaron me nazar aae jidhar se wo guzar jaae wohi raah chamak jae damak jae mahak jae bane rawnaque gulzaar

Ishq ke rang me rang jao mere yaar
Soung loun khushbue gesue Muhammad (salla Llahu ‘alayhi wa sallam) wo siya zulf nahin jis ke muquaabil ye banafsha ye suyunti ye chambeli ye gule laalaa o champaa ka nikhaar
Jis ki nakhat pe hein qurbaan gulo bargo saman naafaae aahoue khutan bade chaman buwe chaman naaze chaman noure chaman range chaman saaraa chaman zaar

Ishq ke rang me rang jao mere yaar
Ik shahanshah ne bakhshe jo samarkand o bukhaaraa kissi mahboub ke rukhsaar ke til par magar eh Sayyade Aali teri namos teri azmat par
Aey Rasul e Madani eik nahin laakhon hein qurbaan gahe ishq ke har kuchao bazaar me sar apnaa hatheli pe liye phirte hein karne ko nisaar

Ishq ke rang me rang jao mere yaar
Aap ke zikr me hein dam masaalaa sare huda kawne arab naghma nigaaraane ajam shawkate alfaaz adab azmate kirtaas o qalam baate sabaa mohje naseen
Dahne bulbule shiri lahane umriyo toti shafe mahtaab sitaare malak o hour jinaa jin ki nawahon me duroodon ka hisaar

Ishq ke rang me rang jao mere yaar
Warafahnaa lakazikrak ki iss aayaa e tawseef ki tawseef me tafseer me tashreekh me tawzikh me tanween me har ehd ki shaamil he zabaan.
Labe Hassan o Ravaahaa wo labe Fatimah Zahraa wo Ali aabide bimaar Busairi dahane ourtiyo jaame labe sahti o razaa sab sar shaar

Ishq ke rang me rang jao mere yaar
Ishq ke rang me rang jaae muhajir ho ke pakhtoun balonchi ho ke punjabi o sindhi kissi khitte ki kabile ki zaban isse nahin koyi sarokaar
Jaamae ishqe Muhammad (salla Llahu ‘alayhi wa sallam) jo pehenletaa he har haar ko wo phool banaa letaa he dunyaa ko jhukaaletaa he kartaa he zamaane ko muhabbat ka shikaar

Ishq ke rang me rang jao mere yaar
Ye muhaajir ki he saf aur ye punjaabi ki pakhtoun ki sindhi ki balonchi ki juda par ke dikhao to kissi shehr ki masjid me kabhi eisi namaz
Harame kaabaa me arafaat ke maidaan me ya Rawza-e-Sarkaar pe kyun shaane milaate wahan karte nahin rang ka aur nasl katum apni shoumaar

Ishq ke rang me rang jao mere yaar
Yaa Nabi ! Aap ka ye adbi sanaakhwane dare rahmat ka gada detaa he dar dar ye sadaa detaa he Aap se chaahat ka salaa apni zaban me taasir
Soun ke sab ahle chaman ous ka sukhan oun ko bhi aajaae hayaa sar ho nidaamat se jhukaa aur nazar dekhe wo islaaf ki oulfat ka nazaaraa eik baar

Ishq ke rang me rang jao mere yaar
Eh Aadeeb! Ab youn hi alfaaz ke ambaar me ham doubte reh jaein magar haqqe sanaa goyi adaa phir bhi naa kar paein ye jazbaat o zabaan o kalam o fikr o khayaal
Oun ki midhat to Malaaik ka wazifaa he Sahaaba ka tariqaa heibaadat ka saleeqaa he ye khaaliq ka pasandeeda he Quraan ka he iss me shyaar

Ishq ke rang me rang jao mere yaar